Shab e Bara'at



Shab e Bara'at
Barkat wali Raat aur Dua Qabool Hone wali Raat

Hum Be-kasoñ ke Aaqa, Do Jahaañ ke Daata, Janab e Ahmed e Mujtaba Muhammad Mustafa ﷺ irshad farmate haiñ beshak Allah Rabbul Izzat Shabaan ki 15vi shab aasmaani duniya ki taraf (apni shaan ke mutabik) jalwagar hota hai aur Qabeela e Bani Qalb ki bakriyoñ ke baaloñ se zyada logoñ ki magfirat farmata hai. 

*#Tirmizi Shareef, Jild 1, Safah No.156.*

*Muaafi ka Talabgaar*

*Shabe Bara'at* ki rehmatoñ bhari raat ki aamad se pehle maiñ aapko gawaah bana kar mere Parwardigaar ki baargaah mein mere jaane anjaane tamaam gunaahoñ se tauba karta hu aur aainda istaqamat fid deen ki dua karta hu. Aap bhi mere haq mein dua farmayein.

Aur agar mujhse jaane anjaane koi galti ho gayi ho ya dil aazaari huwi ho ya koi gila geebat kiya hu ya kisi bhi taur par aapka kusoorwaar hu to maiñ aap se guzaarish karta hu ke Allah ﷻ aur uske Rasool ﷺ ke waaste mujhe Dil se muaaf farmayein.

جزاک اللہ خیرا کثیرا

Comments

Popular posts from this blog

Quotes

Teeno Ashre Ki dua